Search Box

Custom Search

Wednesday, 14 September 2011

Nasir Kazmi

Gaye Dino Ka Suraagh Le Kar, Kidhar Se Aaya, Kidhar Gaya Woh,
Ajeeb  Manoos  Ajnabi  Tha  Mujhay  To  Heraan  Kar  Gaya  Woh,

Khushi Ki Rut Ho K Gham Ka Mausam Nazar Usay Dhoondti Hai Har Dam,
Woh  Boo-e-Gul Tha  K  Naghma-e-Jaan,  Mere To Dil Me Utar Gaya Woh,

Woh Maikaday Ko Jagaany Wala, Woh Raat Ki Neend Urhaanay Wala,
Na Janay Kya Uski Jee Me Aaei K Sham Hotay He Ghar Gaya Woh,

Shikasta Paa Raah Men Kharha Hun, Gaye Dino Ko Bhula Raha Hun,
Jo  Qaafla  Mera  Humsafar  Tha,  Misl-e-Gard-e-Safar  Gaya  Woh,

Bas  Ek Manzil Hai  Bul Havas Ki,  Hazaar Rastay Hain  Ahl-e-Dil K,
Yahi To Farq Hai Mujh Me Us Me Guzar Gaya Men, Thehar Gaya Woh,

Woh Jis K Shanay Pe Hath Rakh Kar Safar Kiya Tu Ne Manzilon Ka,
Teri  Gali  Se  Na  Janay  Kiyon  Aaj  Sar Jhuka'ay  Guzar  Gaya Woh,

Woh Hijar Ki Raat Ka Sitaara, Woh Nafas, Ham Sukhan Hamaara,
Sada Rahy Uska Naam Payara, Suna Hai Kal Raat Mar Gaya Woh,

Bas Ek Moti C Chaab Dikhaa Kar, Bas Ek Meethi C Dhun Suna Kar,
Sitara-e-Sham  Ban K  Aaya,  Barang-e-Khayal-e-Sahar  Gaya Woh,

Na Ab Woh Chahton Ka Charhta Dariyaa, Na Fursaton Ki Udaas Barkhaa,
Youn Hi Zara C Kasak Hai Dil Men, Jo Zakham Gehraa Tha Bhar Gaya Woh,

Woh Raat Ka Be-Nawaa Musaafir, Woh Tera Shaayar, Woh Tera " Nasir "
Teri  Gali  Tak To  Ham  Ne  Daikha,  Phir  Na  Janay  Kidhar  Gaya  Woh!!!

No comments:

Post a Comment