Search Box

Custom Search

Saturday, 24 September 2011

Parveen Shakir

Koo-Ba-Koo Phail Gaie  Baat Shana'saaie Ki,
Us Ne Khushbu Ki Tarah Meri Pazee'raaie Ki,

Kese Keh Doon K Mujhay Chorh Dia Hai Us Ne,
Baat To  Sach Hai  Magar  Baat Hai  Ruswaaie Ki,

Woh Kahien Bhi Gaya Lauta To Mere Paas Aaya,
Bas   Yahi   Baat   Hai   Achi,   Mere  Harjaaei  Ki,

Tera   Pehlu  Tere   Dil  Ki  Tarah   Aabad   Rahay,
Tujh Pe Guzray Na Qayamat Shab-e-Tanhaie Ki,

Us Ne Jalti Huie Paishaani Pe Jo Haath Rakha,
Rooh   Tak   Aagaie   Tanseer   Maseehai   Ki,

Wednesday, 14 September 2011

Ahmad Nadeem Qasmi

Kaun Kehta Hai  K  Maut Aaiee To Mar Jaun Ga,
Men To Dariya Hun Samander Men Utar Jaun Ga,

Tera  Dar  Chorh  K   Men   Aur   Kidhar   Jaun   Ga,
Ghar Men Ghir Jaun Ga Sahara Men Bikhar Jaun Ga,

Tere Pehlu Se Jo Uthun Ga To Mushkil Ye Hai,
Sirf Aik Shakhs Ko Paoon Ga, Jidhar Jaun Ga,

Ab Tere Shehr Men Aaun Ga Musafir Ki Tarah,
Saya-e-Abar   Ki   Manind   Guzar   Jaun   Ga,

Tera   Paimaan-e-Wafa   Rah   Ki   Deewar   Bana,
Warna Socha Tha K Jab Chahun Ga, Mar Jaun Ga,

Chaar-Saazon se Alag Hai Mera Mayyiaar K Men,
Zakham  Khaun Ga To  Kuch Aur Sanwar Jaun Ga,

Ab To Khursheed Ko Doobay Hue Sadyyiaan Guzreen,
Ab   Usay   Dhondnay   Men   Taa-ba-Sahar   Jaun  Ga,

Zindagi Shamaa Ki Manind Jalaataa Hun " Nadeem "
Bujh  To  Jaun  Ga  Magar  Subha  To  Kar  Jaun  Ga!!!

Qateel Shifai

Woh  Dil  He  Kya  Tere  Milnay  Ki  Jo  Dua  Na  Karay,
Main Tujhay Bhool K Zindaa Rahun KHUDA Na Karay,

Rahay Ga Sath Tera Payar Zindagi Ban Kar,
Ye Aur Baat   Meri Zindagi Wafa Na Karay,

Yeh  Thek  Hai   Nahi  Martaa  Koi  Judai  Men,
KHUDA Kisi Ko Magar Kisi Se Juda Na Karay,

Suna  Hai  Usko   Mohabat   Duaain   Daiti   Hai,
Jo Dil Pe Chot To Khaye Magar Gilaa Na Karay,

Zamana Daikh Chuka Hai,  Parakh Chuka Hai Usay,
  " Qateel "  Jaan  Se  Jaay  Par  Iltaja  Na  Karay!!!

Mohsin Naqvi

Zikar-e-Shab-e-Firaaq Se Vehshat Usay Bhi Thi,
Meri  Tarah  Kisi  Se  Mohabat   Usay   Bhi   Thi,

Mujh Ko Bhi Shauq Tha Naye Chehron Ki Deed Ka,
Rasta  Badal  K  Chalnay  Ki  Aadat  Usay   Bhi   Thi,

Us   Raat   Dair   Tak   Woh  Raha   Mehv-e-Guftagu,
Masroof  Men Bhi Kam Tha, Faraaghat Usay Bhi Thi,

Sunta Tha Woh Bhi Sab Se Puraani Kahaniyaan,
Taaza   Rafaqton   Ki   Zarurat   Usay   Bhi   Thi,

Mujh Se Bicharh K Shehr Men Ghul Mil Gaya Woh Shakhs,
Halaan   K   Shehr   Bhar   Se   Raqaabat   Usay   Bhi    Thi,

Woh Mujh Se Barh K Zabt Ka Aadi Tha Jee Gaya,
Warna  Har   Ek Saans Qayamat   Usay   Bhi   Thi!!!

Saghar Siddiqui

Hai  Dua Yaad  Magar  Harf-e-Dua Yaad Nahi,
Mere Naghmaat Ko Andaz-e-Nava Yaad Nahi,

Ham Ne Jin K Liay Raahon Men Bichaya Tha Lahoo,
Ham Se Kehtay Hain  Wohi Ahd-e-Wafa  Yaad Nahi,

 Zindagi Jabr-e-Musalsal Ki Tarah Kaati Hai,
Janay Kis Jurm Ki Paie Hai Saza, Yaad Nahi,

Main Ne Palkon Se Dar-e-Yaar Pe Dastak Di Hai,
Main  Woh Sa'ail Hun  Jisay  Koi Sada Yaad Nahi,

Kese Bhar Aain Sar-e-Sham Kisi Ki Aankhain,
Kese Tharraaie Charghon Ki  Zaya Yaad Nahi,

Sirf Dhund-latay Sitaray Ki Chamak Daikhi Hai,
Kab Hua,  Kon Hua,  Mujh Se Juda Yaad Nahi,

Aao     Ek    Sajda   Karain   Aalam-e-Mad'hoshi  Main,
Log Kehtay Hain K " Saghar " Ko KHUDA Yaad Nahi!!!

Habib Jalib

Khatra   Hai   Zardaaron   Ko,
Girti    Huei    Deewaron    Ko,
Sadiyon    K    Beemaron   Ko,
Khatray    Me   Islaam    Nahi!

Saari   Zameen   Ko   Gheray    Hue,
Hain Aakhir Chand Gharanay Kiyon,
Naam    Nabi    Ka    Lene    Walay,
Hain   Ulfat   Se   Begaanay   Kiyon,

Khatra  Hai  Khoon  Khaaron  Ko,
Rang      Barangi      Caron      Ko,
America      K      Payaron      Ko,
Khatray     Men     Islaam     Nahi!

Aaj      Hamaray      Naaron      Se,
Larza  Hai  Bapaa  Aewanon   Men,
Bik Na Saken Ge Hasrat-o-Armaan,
Oonchi      Saji      Dukanon     Men,

Khatra    Hai    Bat     Maron     Ko,
Maghrib       K       Bazaron       Ko,
Choron      Ko,     Makkaron     Ko,
Khatray     Men      Islaam      Nahi!

Aman  Ka  Parcham  Le  Kar  Utho,
Har     Insaan    Se    Payar     Karo,
Apna   To   Manshoor   Hai  "Jalib "
Saray    Jahan    Se    Payar    Karo,

Khatra     Hai     Darbaron     Ko,
Shahon  K   Gham   Kharon   Ko,
Nawaabon,      Ghadaaron      Ko,
Khatray     Men    Islaam     Nahi!!!

Ahmad Faraz

Ab K Ham Bich'rhay To Shayad Kabhi Khawbon Men Milayn,
Jis   Tarah   Sookhay   Hue    Phool    Kitabon    Men    Milayn,

Dhoondh   Ujrhay   Hue   Logon   Men   Wafa   K   Moti,
Ye Khazanay Tujhay Mumkin Hain Kharabon Men Milayn,

Tu   KHUDA  Hai  Na  Mera   Ishaq   Farishton  Jesaa,
Dono Insaan Hain To Kiyon Itnay Hijaabon Men Milayn,

Gham-e-Dunia Bhi Gham-e-Yaar Men Shaamil Kar Lo,
Nsha  Barhta Hai  Sharabyn Jo  Sharabon  Men  Milayn,

Aaj  Ham  Daar  Pe  Khenchay  Gaye  Jin  Baaton  Par,
Kya Ajab Kal Woh Zamanay Ko Nisaabon Men Milayn,

Ab Na Woh Men Hun, Na Tu Hai, Na Woh Maazi Hai " Faraz "
Jaisay   Do   Shakhs   Tamanna   K   Saraabon   Men   Milayn!!!

Nasir Kazmi

Gaye Dino Ka Suraagh Le Kar, Kidhar Se Aaya, Kidhar Gaya Woh,
Ajeeb  Manoos  Ajnabi  Tha  Mujhay  To  Heraan  Kar  Gaya  Woh,

Khushi Ki Rut Ho K Gham Ka Mausam Nazar Usay Dhoondti Hai Har Dam,
Woh  Boo-e-Gul Tha  K  Naghma-e-Jaan,  Mere To Dil Me Utar Gaya Woh,

Woh Maikaday Ko Jagaany Wala, Woh Raat Ki Neend Urhaanay Wala,
Na Janay Kya Uski Jee Me Aaei K Sham Hotay He Ghar Gaya Woh,

Shikasta Paa Raah Men Kharha Hun, Gaye Dino Ko Bhula Raha Hun,
Jo  Qaafla  Mera  Humsafar  Tha,  Misl-e-Gard-e-Safar  Gaya  Woh,

Bas  Ek Manzil Hai  Bul Havas Ki,  Hazaar Rastay Hain  Ahl-e-Dil K,
Yahi To Farq Hai Mujh Me Us Me Guzar Gaya Men, Thehar Gaya Woh,

Woh Jis K Shanay Pe Hath Rakh Kar Safar Kiya Tu Ne Manzilon Ka,
Teri  Gali  Se  Na  Janay  Kiyon  Aaj  Sar Jhuka'ay  Guzar  Gaya Woh,

Woh Hijar Ki Raat Ka Sitaara, Woh Nafas, Ham Sukhan Hamaara,
Sada Rahy Uska Naam Payara, Suna Hai Kal Raat Mar Gaya Woh,

Bas Ek Moti C Chaab Dikhaa Kar, Bas Ek Meethi C Dhun Suna Kar,
Sitara-e-Sham  Ban K  Aaya,  Barang-e-Khayal-e-Sahar  Gaya Woh,

Na Ab Woh Chahton Ka Charhta Dariyaa, Na Fursaton Ki Udaas Barkhaa,
Youn Hi Zara C Kasak Hai Dil Men, Jo Zakham Gehraa Tha Bhar Gaya Woh,

Woh Raat Ka Be-Nawaa Musaafir, Woh Tera Shaayar, Woh Tera " Nasir "
Teri  Gali  Tak To  Ham  Ne  Daikha,  Phir  Na  Janay  Kidhar  Gaya  Woh!!!

Tuesday, 13 September 2011

Faiz Ahmad Faiz

Darbaar-e-Watan  Main  Jab  Ik  Din  Sab  Janay  Walay  Jaen  Gay,
Kuch Apni Saza Ko Pohnchayn Gay, Kuch Apni Jaza Lay Jaen Gay,

Ay Khaak Nashino! Uth Betho, Woh Waqat Qarib Aa Pohncha Hai,
Jab   Takhat   Gira'ay   Jaen   Gay,  Jab   Taaj   Uchalay   Jaen   Gay,

Ab  Toot  Girayn Gi  Zanjeerain, Ab  Zindaano Ki  Khair  Nahi,
Jo Darya Jhoom K Uthay Hain, Tinkon Se Na Taalay Jaen Gay,

Kat'tay Bhi Chalo, Barhtay Bhi Chalo, Baazoo Bhi Bohat Hain, Sar Bhi Bohat,
Chaltay  Bhi   Chalo  K  Ab   Dairay   Manzil   He   Pay   Daalay    Jaen   Gay,

Ab Zulm K Maaro! Lab Kholo, Chup Rehnay Walo Chup Kab Tak,
Kuch Hashar To Unse Uthay Ga, Kuch Door To Naalay Jaaen Gay!!!

Ibn e Insha

Kal Chaudhveen Ki Raat Thi, Shab Bhar Raha Charcha Tera,
Kuch Ne Kaha  Yeh Chand Hai,  Kuch Ne Kaha  Chehra Tera,

Ham Bhi Wohi Maujood Thay, Ham Se Bhi  Sab Pooch  Kiay,
Ham Hans Diay, Ham Chup Rahay, Manzoor Tha, Parda Tera,

Is Shehr Men Kis Se Milayn, Ham Se To Chooti Mehfilayn,
Har  Shakhs  Tera  Naam Le, Har  Shakhs  Deewana  Tera,

Koochay Ko Teray Chorh Kar, Jogi He Ban Jaen Magar,
Jangal  Teray,  Parbat   Teray,  Basti   Teri,  Sehraa   Tera,

Ham   Aur   Rasm-e-Bandagi,   Aashuftadgi,   Uftaadagi,
Ahsaan Hai Kya Kya Tera, Ay Husan-e-Beparwah! Tera,

Do Ashak Janay Kis Liay, Palkon Pe Aa Kar Tik Gay,
Altaaf  Ki  Baarish  Teri,   Akraam  Ka  Daryiaa  Tera,

Ay Be-Daraigh-o-Be-Amaan! Ham Ne Kabhi Ki Hai Fughaan,
Ham  Ko  Teri   Wehshat  Sahi,  Ham  Ko   Sahi   Sauda   Tera,

Ham Par Yeh Sakhti Ki Nazar, Ham Hai  Faqeer-e-Raahguzar,
Rasta    Kabhi    Roka   Tera,   Daman   Kabhi   Thama   Tera,

Haan Haan Teri Soorat Haseen, Lekin Tu Aisa Bhi Nahi,
Is  Shakhs  K  Ash'aar  Se,  Shohra  Hua Kya Kya Tera,

Be-Dard Sun'ni Ho To Chal, Kehta Hai Kya Achi Ghazal,
Aashiq Tera, Ruswa Tera, Shaa'er Tera, " Insha " Tera!!!

Mirza Ghalib

Koi Umeed  Bar  Nahi  Aati,
Koi Soorat Nazar Nahi Aati,

Maut Ka Aik  Din  Mo'yyan  Hai,
Neend Qiun Raat Bhar Nahi Aati,

Aagay Aati Thi Haal-e-Dil Pe Hansi,
Ab   Kisi   Baat    Par    Nahi    Aati,

Janta Hun Sawab-e-Ta'at-o-Zahad,
Par   Tabyyat   Idhar    Nahi    Aati,

Hai Kuch Aisi He Baat Jo Chup Hun,
Warna  Kya   Baat   Kar  Nahi   Aati,

Qiun Na Cheekhoon K Yaad Kartay Hain,
Meri       Aawaz      Gar       Nahi      Aati,

Daagh-e-Dil Gar Nazar Nahi Aata,
Youn Bhi Ay Chara Gar! Nahi Aati,

Ham Wahan Hain Jahan Se Ham Ko Bhi,
Kuch    Hamari    Khabar     Nahi     Aati,

Martay Hain Aarzoo Main Marnay Ki,
Maut    Aati    Hai    Par    Nahi    Aati,

KA'ABAY Kis Munh Say Jao Gay " GHALIB "
Sharam     Tum     Ko    Magar     Nahi     Aati,

Dr. Allama Iqbal

Aata Hai Yaad Hai Mujh Ko, Guzra Hua Zamaana,
Woh Bagh Ki Baharain, Woh Sab Ka Cheh'chahana,

Azadyian Kaha Woh Ab Apnay Ghonslay Ki,
Apni Khushi Se Aana, Apni Khushi Se Jaana,

Lagti Hai Chot Dil Par Aata Hai Yaad Jis Dam,
Shabnam K Aansuon Par Kaliyon Ka Muskarana,

Woh Pyari Pyari Soorat, Woh Kaam'ni See Moorat,
Aabad   Jis  K  Dam  Se,  Tha   Mera   Aashyiana,

Aati Nahi Sada'en Uski Mere Qafas Main,
Hoti Meri Rahai Ay Kash! Mere Bas Main,

Kya Badnaseeb Hun Main Ghar Ko Taras Raha Hun,
Sathi To Hain Watan Men, Main Qaid Men Parha Hun,

Iss    Qaid    Ka    ILAHI!    Dukh'rha    Kisay    Sunaoon?
Dar Hai Yahien Qafas Men, Main Gham Se Mar Na Jaoon,

Jab  Se  Chaman  Chuta  Hai,  Yeh  Haal  Ho  Gaya  Hai,
Dil Gham Ko Kha Raha Hai, Gham Dil Ko Kha Raha Hai,

Gana Isay Samjh Kar Khush Hon Na Sun'nay Walay,
Dukhay  Hue  Dilon  Ki  Faryiaad  Yeh  Sada  Hai,

Aazad Mujh  Ko  Kar  Day,  O  Qaid  Karnay  Walay!
Main Be-Zubaan Hun Qaidi, Tu Chorh Kar Dua Lay!!!