Search Box

Custom Search

Saturday, 24 September 2011

Parveen Shakir

Koo-Ba-Koo Phail Gaie  Baat Shana'saaie Ki,
Us Ne Khushbu Ki Tarah Meri Pazee'raaie Ki,

Kese Keh Doon K Mujhay Chorh Dia Hai Us Ne,
Baat To  Sach Hai  Magar  Baat Hai  Ruswaaie Ki,

Woh Kahien Bhi Gaya Lauta To Mere Paas Aaya,
Bas   Yahi   Baat   Hai   Achi,   Mere  Harjaaei  Ki,

Tera   Pehlu  Tere   Dil  Ki  Tarah   Aabad   Rahay,
Tujh Pe Guzray Na Qayamat Shab-e-Tanhaie Ki,

Us Ne Jalti Huie Paishaani Pe Jo Haath Rakha,
Rooh   Tak   Aagaie   Tanseer   Maseehai   Ki,

Wednesday, 14 September 2011

Ahmad Nadeem Qasmi

Kaun Kehta Hai  K  Maut Aaiee To Mar Jaun Ga,
Men To Dariya Hun Samander Men Utar Jaun Ga,

Tera  Dar  Chorh  K   Men   Aur   Kidhar   Jaun   Ga,
Ghar Men Ghir Jaun Ga Sahara Men Bikhar Jaun Ga,

Tere Pehlu Se Jo Uthun Ga To Mushkil Ye Hai,
Sirf Aik Shakhs Ko Paoon Ga, Jidhar Jaun Ga,

Ab Tere Shehr Men Aaun Ga Musafir Ki Tarah,
Saya-e-Abar   Ki   Manind   Guzar   Jaun   Ga,

Tera   Paimaan-e-Wafa   Rah   Ki   Deewar   Bana,
Warna Socha Tha K Jab Chahun Ga, Mar Jaun Ga,

Chaar-Saazon se Alag Hai Mera Mayyiaar K Men,
Zakham  Khaun Ga To  Kuch Aur Sanwar Jaun Ga,

Ab To Khursheed Ko Doobay Hue Sadyyiaan Guzreen,
Ab   Usay   Dhondnay   Men   Taa-ba-Sahar   Jaun  Ga,

Zindagi Shamaa Ki Manind Jalaataa Hun " Nadeem "
Bujh  To  Jaun  Ga  Magar  Subha  To  Kar  Jaun  Ga!!!

Qateel Shifai

Woh  Dil  He  Kya  Tere  Milnay  Ki  Jo  Dua  Na  Karay,
Main Tujhay Bhool K Zindaa Rahun KHUDA Na Karay,

Rahay Ga Sath Tera Payar Zindagi Ban Kar,
Ye Aur Baat   Meri Zindagi Wafa Na Karay,

Yeh  Thek  Hai   Nahi  Martaa  Koi  Judai  Men,
KHUDA Kisi Ko Magar Kisi Se Juda Na Karay,

Suna  Hai  Usko   Mohabat   Duaain   Daiti   Hai,
Jo Dil Pe Chot To Khaye Magar Gilaa Na Karay,

Zamana Daikh Chuka Hai,  Parakh Chuka Hai Usay,
  " Qateel "  Jaan  Se  Jaay  Par  Iltaja  Na  Karay!!!

Mohsin Naqvi

Zikar-e-Shab-e-Firaaq Se Vehshat Usay Bhi Thi,
Meri  Tarah  Kisi  Se  Mohabat   Usay   Bhi   Thi,

Mujh Ko Bhi Shauq Tha Naye Chehron Ki Deed Ka,
Rasta  Badal  K  Chalnay  Ki  Aadat  Usay   Bhi   Thi,

Us   Raat   Dair   Tak   Woh  Raha   Mehv-e-Guftagu,
Masroof  Men Bhi Kam Tha, Faraaghat Usay Bhi Thi,

Sunta Tha Woh Bhi Sab Se Puraani Kahaniyaan,
Taaza   Rafaqton   Ki   Zarurat   Usay   Bhi   Thi,

Mujh Se Bicharh K Shehr Men Ghul Mil Gaya Woh Shakhs,
Halaan   K   Shehr   Bhar   Se   Raqaabat   Usay   Bhi    Thi,

Woh Mujh Se Barh K Zabt Ka Aadi Tha Jee Gaya,
Warna  Har   Ek Saans Qayamat   Usay   Bhi   Thi!!!

Saghar Siddiqui

Hai  Dua Yaad  Magar  Harf-e-Dua Yaad Nahi,
Mere Naghmaat Ko Andaz-e-Nava Yaad Nahi,

Ham Ne Jin K Liay Raahon Men Bichaya Tha Lahoo,
Ham Se Kehtay Hain  Wohi Ahd-e-Wafa  Yaad Nahi,

 Zindagi Jabr-e-Musalsal Ki Tarah Kaati Hai,
Janay Kis Jurm Ki Paie Hai Saza, Yaad Nahi,

Main Ne Palkon Se Dar-e-Yaar Pe Dastak Di Hai,
Main  Woh Sa'ail Hun  Jisay  Koi Sada Yaad Nahi,

Kese Bhar Aain Sar-e-Sham Kisi Ki Aankhain,
Kese Tharraaie Charghon Ki  Zaya Yaad Nahi,

Sirf Dhund-latay Sitaray Ki Chamak Daikhi Hai,
Kab Hua,  Kon Hua,  Mujh Se Juda Yaad Nahi,

Aao     Ek    Sajda   Karain   Aalam-e-Mad'hoshi  Main,
Log Kehtay Hain K " Saghar " Ko KHUDA Yaad Nahi!!!

Habib Jalib

Khatra   Hai   Zardaaron   Ko,
Girti    Huei    Deewaron    Ko,
Sadiyon    K    Beemaron   Ko,
Khatray    Me   Islaam    Nahi!

Saari   Zameen   Ko   Gheray    Hue,
Hain Aakhir Chand Gharanay Kiyon,
Naam    Nabi    Ka    Lene    Walay,
Hain   Ulfat   Se   Begaanay   Kiyon,

Khatra  Hai  Khoon  Khaaron  Ko,
Rang      Barangi      Caron      Ko,
America      K      Payaron      Ko,
Khatray     Men     Islaam     Nahi!

Aaj      Hamaray      Naaron      Se,
Larza  Hai  Bapaa  Aewanon   Men,
Bik Na Saken Ge Hasrat-o-Armaan,
Oonchi      Saji      Dukanon     Men,

Khatra    Hai    Bat     Maron     Ko,
Maghrib       K       Bazaron       Ko,
Choron      Ko,     Makkaron     Ko,
Khatray     Men      Islaam      Nahi!

Aman  Ka  Parcham  Le  Kar  Utho,
Har     Insaan    Se    Payar     Karo,
Apna   To   Manshoor   Hai  "Jalib "
Saray    Jahan    Se    Payar    Karo,

Khatra     Hai     Darbaron     Ko,
Shahon  K   Gham   Kharon   Ko,
Nawaabon,      Ghadaaron      Ko,
Khatray     Men    Islaam     Nahi!!!

Ahmad Faraz

Ab K Ham Bich'rhay To Shayad Kabhi Khawbon Men Milayn,
Jis   Tarah   Sookhay   Hue    Phool    Kitabon    Men    Milayn,

Dhoondh   Ujrhay   Hue   Logon   Men   Wafa   K   Moti,
Ye Khazanay Tujhay Mumkin Hain Kharabon Men Milayn,

Tu   KHUDA  Hai  Na  Mera   Ishaq   Farishton  Jesaa,
Dono Insaan Hain To Kiyon Itnay Hijaabon Men Milayn,

Gham-e-Dunia Bhi Gham-e-Yaar Men Shaamil Kar Lo,
Nsha  Barhta Hai  Sharabyn Jo  Sharabon  Men  Milayn,

Aaj  Ham  Daar  Pe  Khenchay  Gaye  Jin  Baaton  Par,
Kya Ajab Kal Woh Zamanay Ko Nisaabon Men Milayn,

Ab Na Woh Men Hun, Na Tu Hai, Na Woh Maazi Hai " Faraz "
Jaisay   Do   Shakhs   Tamanna   K   Saraabon   Men   Milayn!!!